4 out of 54 of 5Verified purchaseTraining and onboarding
Jo log thoda experience rakhte hain unke liye sahi
Mein pehle dusre platforms se training li thi, toh comparison karte hue kahungi ki WFHI ki training zyada structured hai par beginners ke liye thoda overwhelming ho sakti hai. Onboarding ke dauraan, database aur calling tools achhe tarike se explain hue, lekin kai chhoti chhoti cheezein chhoot gayi thi, jaise ki call tracking aur dialer ke advanced features. Support kafi responsive tha, par agar aap ekdum naya ho toh thoda struggle ho sakta hai system samajhne mein. Mere liye kaafi beneficial rahi par sabke liye nahi hongi ye approach.