jo log sales ki basic samajh rakhte hain unke liye sahi hai
Maine jo dekha woh yeh hai ki software ke andar jo labels hain aur jo instructions diye gaye hain unme thodi gadbad hai. Kabhi kabhi menus itne clear nahi hote jitna hona chahiye, main toh confuse ho gayi thi ki mujhe exactly kya select karna hai jab main sales workflow setup kar rahi thi. Training sessions kuch had tak help karte hain, lekin phir bhi jitna expected tha, waise samajh nahi aaya mujhe. System ki language thodi technical aur complicated lag rahi thi buying ke dauran, jo un logon ke liye perfect nahi who starting level par hain. Haan, invoicing process thoda theek tha, usme zyada dikkat nahi aayi mujhe. Par overall, yeh un sab ke liye nahi hoga jo bilkul naya try kar rahe hain sales aur workflow tools me. Agar aapko thoda experience hai toh shayad use kar sakte hain, warna mujhe lagta hai yeh thoda difficult rahega.