Jo log khud se samajh ke chalna chahte hain unke liye sahi hai
Mujhe laga tha ki sign-up aur onboarding process itna simple hoga ki bas thoda samajh ke kaam shuru kar dunga. Lekin thoda aur mehnat karni padhi manually samajhne me setting wale options ko. Sales aur pre-purchase details initial call par toh clear thi, par jab khud software chalaya toh kuch cheezein mujhe arrange karni padi apne hisab se. Jo log thoda support chahte hain ya jyada guidance ki ummeed karte hain, unhe ye zyada suit nahi karega. Lekin agar aap thoda research karke, apne workflow ke according cheezein adjust kar sakte hain, toh ye software acha rahega. Dialer aur database features theek the, mujhe bas on-boarding me thodi der lagi smooth flow ke liye. Payment aur invoicing system simple raha, par invoices pe thoda aur clarity ho sakti thi. Overall ek accha experience tha jisme maine thodi effort lagani padi khud ko fit karne me.