Jo expect kiya tha, vo mila aur vo nahi bhi mila
Main training aur onboarding ke liye WFHI software lene gaya tha with kuch specific expectations, especially about call dialer aur database ke features. Training mein kaafi basic cheezein cover ki gayi par main soch raha tha ki thoda zyada practical examples milenge with step-by-step use cases jo main apne kaam mein use kar saku. Kuch tools jaise calling dialer toh kaam karte the jaise bataya gaya, lekin kuch parts jaise automatic updates ka impact mujhe clear nahi hua, aur billing process thoda complex laga initially. Support team se baat ki toh kuch assistance mili par lagta hai ki aur zyada detailed onboarding honi chahiye thi taaki confusion kam ho jaye. Main abhi software use karte karte aajata hoon ki ye features useful hain par shayad maine jo socha tha completion mein, vo sab nahi mila. Overall main kahunga ki expect kiya tha thoda zyda, par milne wali cheezein bhi kaafi thi to main inka use continue kar raha hoon.