jab software theek karta tha toh acha lagta, kabhi kabhi stuck ho jata tha
Mai jyada expect toh nahi kar raha tha sales se, par kuch cheezein jab main try kar raha tha tab software thik se respond nahi karta tha kabhi kabhi. Ek baar dialing tool use kar raha tha toh call connect hona thoda slow hua jiski wajah se frustration hui. Baki thik tha, database toh tab tak kaam kar raha tha jaise ki bataya gaya tha. Payment ka process normal tha aur invoices clear mile. Support team ne jab call kiya tab fast response diya par kabhi kabhi clarity nahi mili ki solutions permanent hain ya temporary. Training ka flow acha tha overall lekin jaruri cheezon ko thoda aur achi tarah se explain karna chahiye tha. Mujhe tabhi samajh aaya ki software tabhi sahi chalta hai jab main thoda zyada dhyan se chalu karu. Overall, experience mixed raha lekin chal sakta hai ye.