jab samajh nahi aaya toh lag gaya frustration ka moment
Setup ke baad support se baat karte karte mujhe lag gaya ki yeh sab ek baar karna tha, par baar baar follow-up karte rehna padega. Mai ne pehle explain kiya ki mujhe kis tarah ka software chahiye aur kaise chalana hai, par lagta hai wo baat samajh nahi aayi. Baar baar mujhe wahi cheeze samjhani pad rahi thi, kabhi itna helpful nahi laga. Jo telephonic support hai, wo initial setup mein thoda acha tha par fir baad mein itna support mujhe nahi mila jitna chahiye tha. Continuous support expected tha, par wo wale point pe wo kamzor tha. Mujhe har baar apni requirement phir se explain karni padti thi. Yehi moment tha jab realization hua ki yeh system mere liye thoda complex hai aur sath mein support bhi utna dedicated nahi. Thoda thakawat bhi hui baar baar same baate batane mein. Mujhe lagta hai system easy hai par uske baad jo support mile woh consistent nahi tha. Finally main soch rahi hoon ki isse use kar paungi ki nahi because of the unclear help aur mujhe lagta hai ki mujhe jyada help chahiye thi setup ke baad.