Jab sab samajh aya tabhi flow smooth hua
Maine training aur onboarding start kiya WFHI ke saath, initially lag raha tha thoda complicated hai sab. Lekin jaise jaise training progress hui, kuch features jaise dialer aur database ke use clear hone lage. Lekin, kuch cheezein thodi ajeeb thi, jaise step-by-step instructions mein thoda gap feel hua. Matlab kahin pe clear nahin tha ke next step exactly kya hoga. Mujhe laga ki agar starting mein thoda aur user-friendly aur detailed guidance hota toh zyada jaldi samajh aata. Sign-up aur payment process kaafi seedha tha, invoicing bhi timely mili. Support se thoda zyada interaction karna pada to clear karne ke liye jo doubts the. Overall, jab woh moment aaya jab system ka flow click kar gaya, tabhi operations easy ho gaye aur training ka fayda samajh aya.