jab maine labels check kiye toh confusion hi hua
Actually mai software ko use karne ki koshish kar raha tha par woh jo wording aur labels diye gaye they, wo mujhe samajh nahi aaye. Main dialer set kar raha tha aur software ka interface complex lag raha tha, especially kiya gaya explanation thoda technical tha aur main confuse ho gaya ki kis button ka kya matlab hai. Mujhe laga ki mujhe pehle se hindi mein ya simple english mein koi clear instructions milni chahiye thi, par wo nahi tha. Mujhe lag raha tha ki main jo bhi kar raha tha uska result samajh nahi pa raha wasliye software mera kaam asaan karne ke bajaay mushkil kar raha tha. Main toh har baar sochta ki kya mera setup theek ho raha hai ya nahi? Automatic updates ka function bhi mujhe initially unclear laga aur mujhe bar bar jaana pada kisi se confirm karne ke liye ki kya change hone wala hai. Mujhe lagta hai ki agar labels aur instructions thode zyada simple hote toh zyada easily samajh paata.