Frustration rehti hai but words samajhne mein dikkat hai
Mujhe generally lagta hai ki software ke support aur communication system mein kuch frustration rehti hai, kyunki unke jo words aur labels diye hote hain, woh kabhi kabhi samajhna mushkil hota hai. Main baar baar baar baar support team ko samajhaane mein time waste karti hoon ki mujhe exactly kya chahiye. Dialer aur database features to theek hain, par jab main kisi aur se baat karti hoon, toh mujhe lagta hai ki unki labels aur wording thodi confusing hain. Wo pre-defined text ya folder names kuch ajeeb hote hain aur kabhi kabhi yah samajhna tough ho jata hai ki kaunse button kya karta hai. Ye thoda tiring hai, especially training ke time jab mujhe new cheezen seekhni hoti hain. Lekin, haan, support call karne par jo help milti hai, wo acha lagti hai, bas woh basic communication clear ho jaati toh aur acha hota.