Day to day use ke liye fit rehta hai buisness walon ke liye
Main WFHI ka software aur tools kuch hafte se use kar raha hoon, aur jo main kehna chahata hoon wo yeh hai ki yeh un logon ke liye acha hai jo roz ke kaam mein apni workflows ko remote manage karna chahte hain. Shuru mein to thodi problem hoti thi samajhne mein, because sales aur pre-purchase mein jitna material diya tha uspe mujhe complete bharosa nahi hua tha. Lekin daily basis pe jab maine dialer aur database features ko test kiya, toh wo kaafi reliable nikle. Automatic updates ne kabhi interruption nahi di, aur telephonic support bhi time to time madad karta raha hai. Lekin honestly ye software waha fit nahi baithega jinke paas full dedicated team nahi hai ya jinko jaldi results chahiye. Galtiyan ho sakti hain jab koi kabhi kabhi hi use kare, uss case mein humesha patience chahiye aur thoda sa self-study bhi karna padta hai. Overall, agar aap consistent basis pe kaam karte hain aur aapke paas thoda samay hai setup samajhne ka, toh yeh software aapke liye kaafi upyogi rahega.