Confused start aur thoda bekar ordering
Main training aur onboarding ka process lekar start kar rahi thi lekin mujhe that lagta tha ki steps sequence mein nahi the. Pehle mujhe software ke basics samjhana chahiye tha, phir advanced features pe jana chahiye tha, par woh ulta tha. Jo training module mujhe sabse pehle mila woh mera workflow samajhne se related nahi tha. Onboarding flow main kaafi baar mujhe wapas jaakar earlier steps par jana pada, kyunki har ek step doosre se linked tha, lekin wo link clear nahi tha. Kuch features, jaise dialer ki setting karna toh theek tha, aur woh smooth tha. Lekin database feature ki training puri tarah se clear nahi thi, jiski wajah se mujhe alag se support center ko call karna pada. Overall mujhe laga ki agar onboarding steps thoda better organize hote toh mera kaam asaan hota instead of baar baar confuse hone ke.